Mirza Ghalib shayari / Urdu shayari sad / sad shayari in Urdu
عشق سے طبیعت نے زیست کا مزا پایا درد کی دوا پائی درد بے دوا پایا ishq se tabī.at ne ziist kā mazā paayā dard kī davā paa.ī dard-e-be-davā paayā دل ہی تو ہے نہ سنگ و خشت درد سے بھر نہ آئے کیوں روئیں گے ہم ہزار بار کوئی ہمیں ستاے کیوں dil hī to hai na sañg-o-ḳhisht dard se bhar na aa.e kyuuñ ro.eñge ham hazār baar koī hameñ satā.e kyuuñ موت کا ایک دن معین ہے نیند کیوں رات بھر نہیں آتی maut kā ek din muayyan hai niind kyuuñ raat bhar nahīñ aatī یہ کہاں کی دوستی ہے کہ بنے ہیں دوست ناصح کوئی چارہ ساز ہوتا کوئی غم گسار ہوتا ye kahāñ kī dostī hai ki bane haiñ dost nāseh koī chārasāz hotā koī ġham-gusār hotā ہم نے مانا کہ تغافل نہ کرو گے لیکن خاک ہو جائیں گے ہم تم کو خبر ہوتے تک ham ne maanā ki taġhāful na karoge lekin ḳhaak ho jā.eñge ham tum ko ḳhabar hote tak بازیچۂ اطفال ہے دنیا مرے آگے ہوتا ہے شب و روز تماشا مرے آگے bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mire aage hotā hai shab-o-roz tamāshā mire aage پوچھتے ہیں وہ کہ غالبؔ کون ہے کوئی بتلاؤ کہ...