Posts

ALLAMA IQBAL ki nazm / lab pe aatī hai duā ban ke tamannā merī / Urdu shayari / bachche ki dua

Image
  بچے کی دعا bachche ki dua لب پہ آتی ہے دعا بن کے تمنا میری زندگی شمع کی صورت ہو خدایا میری lab pe aatī hai duā ban ke tamannā merī zindagī sham.a kī sūrat ho ḳhudāyā merī دور دنیا کا مرے دم سے اندھیرا ہو جائے ہر جگہ میرے چمکنے سے اجالا ہو جائے duur duniyā kā mire dam se añdherā ho jaa.e har jagah mere chamakne se ujālā ho jaa.e ہو مرے دم سے یونہی میرے وطن کی زینت جس طرح پھول سے ہوتی ہے چمن کی زینت ho mire dam se yūñhī mere vatan kī zīnat jis tarah phuul se hotī hai chaman kī zīnat زندگی ہو مری پروانے کی صورت یارب علم کی شمع سے ہو مجھ کو محبت یارب zindagī ho mirī parvāne kī sūrat yā-rab ilm kī sham.a se ho mujh ko mohabbat yā-rab ہو مرا کام غریبوں کی حمایت کرنا درد مندوں سے ضعیفوں سے محبت کرنا ho mirā kaam ġharīboñ kī himāyat karnā dard-mandoñ se za.īfoñ se mohabbat karnā مرے اللہ! برائی سے بچانا مجھ کو نیک جو راہ ہو اس رہ پہ چلانا مجھ کو mire allāh! burā.ī se bachānā mujh ko nek jo raah ho us rah pe chalānā mujh ko

na thā kuchh to ḳhudā thā kuchh na hotā to ḳhudā hotā / Mirza Ghalib shayari / Urdu shayari sad / sad shayari in Urdu

Image
  نہ تھا کچھ تو خدا تھا کچھ نہ ہوتا تو خدا ہوتا ڈبویا مجھ کو ہونے نے نہ ہوتا میں تو کیا ہوتا na thā kuchh to ḳhudā thā kuchh na hotā to ḳhudā hotā Duboyā mujh ko hone ne na hotā maiñ to kyā hotā ہوا جب غم سے یوں بے حس تو غم کیا سر کے کٹنے کا نہ ہوتا گر جدا تن سے تو زانو پر دھرا ہوتا huā jab ġham se yuuñ be-his to ġham kyā sar ke kaTne kā na hotā gar judā tan se to zaanū par dharā hotā ہوئی مدت کہ غالبؔ مر گیا پر یاد آتا ہے وہ ہر اک بات پر کہنا کہ یوں ہوتا تو کیا ہوتا huī muddat ki 'ġhālib' mar gayā par yaad aatā hai vo har ik baat par kahnā ki yuuñ hotā to kyā hotā

Mirza Ghalib shayari / Urdu shayari sad / sad shayari in Urdu

Image
  نکلنا خلد سے آدم کا سنتے آئے ہیں لیکن بہت بے آبرو ہو کر ترے کوچے سے ہم نکلے nikalnā ḳhuld se aadam kā sunte aa.e haiñ lekin bahut be-ābrū ho kar tire kūche se ham nikle عشق مجھ کو نہیں وحشت ہی سہی میری وحشت تری شہرت ہی سہی ishq mujh ko nahīñ vahshat hī sahī merī vahshat tirī shohrat hī sahī پلا دے اوک سے ساقی جو ہم سے نفرت ہے پیالہ گر نہیں دیتا نہ دے شراب تو دے pilā de ok se saaqī jo ham se nafrat hai piyāla gar nahīñ detā na de sharāb to de رونے سے اور عشق میں بے باک ہو گئے دھوئے گئے ہم اتنے کہ بس پاک ہو گئے rone se aur ishq meñ be-bāk ho ga.e dho.e ga.e ham itne ki bas paak ho ga.e ترے وعدے پر جیے ہم تو یہ جان جھوٹ جانا کہ خوشی سے مر نہ جاتے اگر اعتبار ہوتا tire va.ade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaanā ki ḳhushī se mar na jaate agar e'tibār hotā میں بھی منہ میں زبان رکھتا ہوں کاش پوچھو کہ مدعا کیا ہے maiñ bhī muñh meñ zabān rakhtā huuñ kaash pūchho ki mudda.ā kyā hai عاشقی صبر طلب اور تمنا بیتاب دل کا کیا رنگ کروں خون جگر ہوتے تک āshiqī sabr-talab aur tamannā betāb dil kā kyā

Mirza Ghalib shayari / Urdu shayari sad / sad shayari in Urdu

Image
  قرض کی پیتے تھے مے لیکن سمجھتے تھے کہ ہاں رنگ لاوے گی ہماری فاقہ مستی ایک دن qarz kī piite the mai lekin samajhte the ki haañ rañg lāvegī hamārī fāqa-mastī ek din تم سلامت رہو ہزار برس ہر برس کے ہوں دن پچاس ہزار tum salāmat raho hazār baras har baras ke hoñ din pachās hazār بنا کر فقیروں کا ہم بھیس غالبؔ تماشائے اہل کرم دیکھتے ہیں banā kar faqīroñ kā ham bhes 'ġhālib' tamāshā-e-ahl-e-karam dekhte haiñ صادق ہوں اپنے قول کا غالبؔ خدا گواہ کہتا ہوں سچ کہ جھوٹ کی عادت نہیں مجھے sādiq huuñ apne qaul kā 'ġhālib' ḳhudā gavāh kahtā huuñ sach ki jhuuT kī aadat nahīñ mujhe کی مرے قتل کے بعد اس نے جفا سے توبہ ہائے اس زود پشیماں کا پشیماں ہونا kī mire qatl ke ba.ad us ne jafā se tauba haa.e us zūd-pashīmāñ kā pashīmāñ honā غالبؔ برا نہ مان جو واعظ برا کہے ایسا بھی کوئی ہے کہ سب اچھا کہیں جسے 'ġhālib' burā na maan jo vaa.iz burā kahe aisā bhī koī hai ki sab achchhā kaheñ jise ہوگا کوئی ایسا بھی کہ غالبؔ کو نہ جانے شاعر تو وہ اچھا ہے پہ بدنام بہت ہے hogā koī aisā bhī ki 

Mirza Ghalib shayari / Urdu shayari sad / sad shayari in Urdu

Image
  کب وہ سنتا ہے کہانی میری اور پھر وہ بھی زبانی میری kab vo suntā hai kahānī merī aur phir vo bhī zabānī merī کہوں کس سے میں کہ کیا ہے شب غم بری بلا ہے مجھے کیا برا تھا مرنا اگر ایک بار ہوتا kahūñ kis se maiñ ki kyā hai shab-e-ġham burī balā hai mujhe kyā burā thā marnā agar ek baar hotā کرنے گئے تھے اس سے تغافل کا ہم گلہ کی ایک ہی نگاہ کہ بس خاک ہو گئے karne ga.e the us se taġhāful kā ham gila kī ek hī nigāh ki bas ḳhaak ho ga.e جی ڈھونڈتا ہے پھر وہی فرصت کہ رات دن بیٹھے رہیں تصور جاناں کیے ہوئے jī DhūñDtā hai phir vahī fursat ki raat din baiThe raheñ tasavvur-e-jānāñ kiye hue درد منت کش دوا نہ ہوا میں نہ اچھا ہوا برا نہ ہوا dard minnat-kash-e-davā na huā maiñ na achchhā huā burā na huā مرتے ہیں آرزو میں مرنے کی موت آتی ہے پر نہیں آتی marte haiñ aarzū meñ marne kī maut aatī hai par nahīñ aatī ہم وہاں ہیں جہاں سے ہم کو بھی کچھ ہماری خبر نہیں آتی ham vahāñ haiñ jahāñ se ham ko bhī kuchh hamārī ḳhabar nahīñ aatī ہر ایک بات پہ کہتے ہو تم کہ تو کیا ہے تمہیں کہو کہ یہ انداز گفتگو کیا ہے har